tumhare hijr men rahta hai ham ko gham miyan-sahib
khuda jaane jiyenge ya marenge ham miyan-sahib
agar bosa na dena tha kaha hota nahin deta
tum itni baat se hote ho kya barham miyan-sahib
khata kuchh ham ne ki ya ghair hai shayad tumhen maane
sabab kya hai ki tum aate ho ab kuchh kam miyan-sahib
agar tu shohra-e-afaq hai to tere bandon men
hamen bhi janta hai khuub ik aalam miyan-sahib
tumhare ishq se ‘taban’ hua hai shahar men rusva
tum us ke haal se ab tak nahin mahram miyan-sahib
Leave a Reply