har taraf karb ke manzar hain jidhar jaata huun
lamha lamha kabhi jiita kabhi mar jaata huun
bad-guman aisa hua huun main farebon se tire
sach bhi jab samne aata hai to Dar jaata huun
intiqaman ye ravish main ne bhi apna.i hai
jab mukarta hai koi main bhi mukar jaata huun
dhuup sah lene ki aadat ne ye jur.at baḳhshi
sar pe suraj ko uTha.e men guzar jaata huun
aa.ina ban gaya hamraz ‘niyazi’ jab se
apne chehre ko main ḳhud dekh ke Dar jaata huun
Leave a Reply