dil ne kiya hai qasd-e-safar ghar samet lo
jaana hai is dayar se manzar samet lo
azadgi men shart bhi hai ehtiyat ki
parvaz ka hai izn magar par samet lo
hamla hai chaar su dar-o-divar-e-shahr ka
sab jangalon ko shahr ke andar samet lo
bikhra hua huun sarsar-e-sham-e-firaq se
ab aa bhi jaao aur mujhe aa kar samet lo
rakhta nahin hai koi na-gufta ka yaan hisab
jo kuchh hai dil men us ko labon par samet lo
Leave a Reply