san li sada-e-koh-e-nida aur chal paḌe
ham ne kisi se kuchh na kaha aur chal paḌe
saa.e men do ghaḌi bhi na Thahre guzarte log
peḌon pe apna naam likha aur chal paḌe
Thahri hui faza men ulajhne laga tha dam
ham ne hua ka giit suna aur chal paḌe
tarik raston ka safar sahl tha hamen
raushan kiya lahu ka diya aur chal paḌe
raḳht-e-safar jo paas hamare na tha to kya
shauq-e-safar ko saath liya aur chal paḌe
ghar men raha tha kaun ki ruḳhsat kare hamen
chaukhaT ko alvida.a kaha aur chal paḌe
‘maḳhmur’ vapsi ka irada na tha magar
dar ko khula hi chhoḌ diya aur chal paḌe
Leave a Reply