kaif-e-ġham lutf-e-alam yaad aayā
kis kā andāz-e-karam yaad aayā
jāda-e-zīst ke har moḌ pe kyoñ
kākul-e-yār kā ḳham yaad aayā
kar gayā ġharq-e-nadāmat dil ko
jab tirī aañkh kā nam yaad aayā
na gayā phir tire aane kā ḳhayāl
terā jaanā bhī na kam yaad aayā
paayā zulmat se tajallī kā shu.ūr
dair meñ jā ke haram yaad aayā
khul gayā vus.at-e-dāmāñ kā bharam
kyoñ tirā dast-e-karam yaad aaya
aa gayā nām-e-ḳhudā lab pe mire
jab vo patthar kā sanam yaad aayā
jī meñ aayā hī thā jiine kā ḳhayāl
yak-ba-yak shahr-e-adam yaad aayā
fikr hai ḳhuld-ba-dāmāñ ‘at.har’
kūcha-e-rashk-e-iram yaad aayā