har zaban par hai guftugu teri
hai har ik dil men aarzu teri
mehr-o-mah donon tujh se shashdar hain
ye tajalli hai char-su teri
mai se ai shaiḳh gar taharat kar
aabru ho dam-e-vuzu teri
zulf sumbul hai aur kamar rag-e-gul
hai ye tarif mu-ba-mu teri
gul na phulen sama.e jaame men
gar saba se vo paa.en bu teri
laa.i aahu ko daam men goya
aankh par zulf-e-mushkbu teri
dur-e-dandan pe to fida ‘ahqar’
chashm-e-giryan hai aabru teri
Leave a Reply