samajh saka na koi aaj tak ki kya huun main
hava ke dosh pe jalta hua diya huun main
vajud hoga mujassam mira kabhi na kabhi
abhi to teri faza men bikhar raha huun main
ye kaise kah duun ki pahchanta bhi huun us ko
vo jis ko ek zamane se janta huun main
dua qubul hui iztirab baaqi hai
yahi bahut hai ki kuchh kamyab sa huun main
na jaane kab main kinare pe ja lagun ‘javed’
savar naav pe huun aur Dubta huun main
Leave a Reply