• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kal Wo Jo Pa-E-Shikar Nikla

Kal Wo Jo Pa-E-Shikar Nikla

poet

kal vo jo pa-e-shikar nikla

har dil ho umid-var nikla

jiine ki nahin umiid ham ko

tiir us ka jigar ke paar nikla

ham khaak bhi ho gae par ab tak

dil se na tire ghubar nikla

jon baam pe be-naqab ho kar

vo mah-rukh ek baar nikla

us roz muqabil us ke khurshid

nikla bhi to sharmsar nikla

gham-khvar ho kaun ab hamara

jab tu hi na gham-gusar nikla

the jis ki talash men ham ab tak

paas apne hi vo nigar nikla

har-chand men ki sarishk baari

par dil se na ye bukhar nikla

‘bedar’ hai khair to ki shab ko

juun shama tu ashk-bar nikla

guzra hai khayal kis ka ji men

aisa jo tu be-qarar nikla

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aah Milte Hi Phir Judai Ki

ahmad-nadeem-qasmi

Hum Kabhi Ishq Ko Wahshat Nahin Banne dete

shahryar

Aankh Ki Ye Ek Hasrat Thi Ki Bas Puri Hui

poet

Duniya-E-Sitam Zer-O-Zabar Ho Ke Rahegi

bilqis-zafirul-hasan

Hamari Jagti Aankhon Mein Khwab Sa Kya Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet