jab tumhare ḳhat ko main ne nazr-e-atish kar diya
ek ik lafz-e-vafa ne duur tak pichha kiya
aḳhiri tahrir thi un ki ye main ne kya kiya
ḳhud bhi tanha ho gaya un ko bhi tanha kar diya
jaane kis rau men tumhara naam lab par aa gaya
shahar valon ne bas itni baat par rusva kiya
dil men rah ja.engi kitni an-kahi baten magar
vaqt saare zaḳhm bhar de ga ye tum ne kya kaha
rabt-e-dil ka TuTna asan nahin itna abhi
daman-e-ehsas hai halat se uljha hua
kitne taare raat ki ankhon se TuuTe hain magar
meri palkon par hai ik taara abhi Thahra hua
haal ki tanha.iyon men yuun bhi yaad a.enge aap
nashtar-e-mazi mire pahlu men hai utra hua
ai mire monis mire hamdam rafiq-e-ashna
jab tak apni yaad baaqi hai tujhe bhulunga kya
ham ne jis misre pe ‘nayyar’ ḳhatm ki apni ghazal
har dil-e-dard-ashna mahfil men nam-dida hua
Leave a Reply