maana hazar saal se huun dar-ba-dar raha
lekin kisi ki chaah ke zer-e-asar raha
jo bujh ga.e charagh zamin-bos ho ga.e
main jal raha tha is liye main baam par raha
dariya ke paar saara qabila utar gaya
lekin vo ek shaḳhs jise ḳhud ka Dar raha
divana-var phirta raha hai jo dasht dasht
aḳhir vo kis guman ke zer-e-asar raha
yaran-e-ḳhush-nasib men hoga mira shumar
kuchh roz tujh se dost ta.alluq agar raha
phir apne aap ka bhi vo rah pa.ega kahan
kuchh der mere saath agar ham-safar raha
aḳhir mujhe bhi tamgha-e-rusva.i mil gaya
jo khel khelne ka na tha khel kar raha
‘mansur’ tera naam shahidon men aa gaya
ta-hashr varna kaun yahan mo’atabar raha
Leave a Reply