Kuchh Haqiqat to Hua Karti Thi Insanon Mein

kuchh haqīqat to huā kartī thī insānoñ meñ

vo bhī baaqī nahīñ is daur ke insānoñ meñ

vaqt kā sail bahā le gayā sab kuchh varna

pyaar ke Dher lage the mire gul-dānoñ meñ

shāḳh se kaTne kā ġham un ko bahut thā lekin

phuul majbūr the hañste rahe gul-dānoñ meñ

un kī pahchān kī qīmat to adā karnī thī

jāntā hai koī apnoñ meñ na begānoñ meñ

sar hī ham phoḌne jaa.eñ to kahāñ jā.eñge

khokhle kāñch ke but haiñ tire but-ḳhānoñ meñ

Leave a Comment