nazar tak aaya hai pahchan tak nahin aaya
ye vahima abhi imkan tak nahin aaya
jarahat-e-gham-e-dauran ki ibtida kahiye
dil-e-jahan-zada paikan tak nahin aaya
vo aur baat ki jaan ki amaan mangi thi
main us ki bai.at-o-paikan tak nahin aaya
bas us ke lams ka ilham hi utarta hai
vo mere mus.haf-e-vijdan tak nahin aaya
ye zindagi to nafi men guzar di main ne
par us ke halqa-e-mizan tak nahin aaya
kitab-e-husn ki ta.abir ḳhair kya karta
‘nadim’ aa.ina unvan tak nahin aaya
Leave a Reply