koi naao nahin tayyar karna
mujhe aata hai dariya paar karna
mohabbat ki nishani huun tumhari
mujhe tum dekh kar mismar karna
main ik zinda haqiqat ban chuki huun
nahin mumkin mira inkar karna
kahani ḳhatm ho jaane se pahle
kahani ik na.i tayyar karna
dil-e-kambaḳht ko aadat paḌi hai
hamesha ḳhvahish-e-be-kar karna
kisi ko guftugu karna sikhana
kisi ko surat-e-divar karna
kabhi socha nahin main ne safar men
kisi ka rasta dushvar karna
mohabbat ‘rashida’ ‘mahin’ kya hai
jise aata na ho iz.har karna
Leave a Reply