mohabbaten jab shumar karna to sazishen bhi shumar karna
jo mere hisse men aai hain vo aziyyaten bhi shumar karna
jalae rakkhungi subh tak main tumhare raston men apni ankhen
magar kahin zabt tuut jaae to barishen bhi shumar karna
jo harf lauh-e-vafa pe likkhe hue hain un ko bhi dekh lena
jo raegan ho gaiin vo saari ibaraten bhi shumar karna
ye sardiyon ka udaas mausam ki dhadkanen barf ho gai hain
jab un ki yakh-bastagi parakhna tamazaten bhi shumar karna
tum apni majburiyon ke qisse zarur likhna vazahaton se
jo meri ankhon men jal-bujhi hain vo khvahishen bhi shumar karna
Leave a Reply