yuun har ik dard ka sauda to nahin ho sakta
main tire shahr men rusva to nahin ho sakta
mere bas men to na tha zaḳhm pe marham rakhna
har koi shaḳhs masiha to nahin ho sakta
main tire dard ko mahsus to kar sakta huun
main tire gham ka mudava to nahin ho sakta
raat be-chand munavvar to nahin ho sakti
ghar men be-sham.a ujala to nahin ho sakta
hadisa ye hai ki patthar nahin insan huun main
dil mira lala-e-sahra to nahin ho sakta
tum bhi manoge ki har baat ki had hoti hai
roz yuun vada-e-farda to nahin ho sakta
Leave a Reply