main kis se karta yahan guftugu koi bhi na tha
nahin tha mere muqabil jo tu koi bhi na tha
ye ijz-e-zat tha ya irtafa-e-husn-e-nazar
kabhi kabhi to mire chaar su koi bhi na tha
ajiib us ki hai mahfil ki us ki mahfil men
pur-imtiyaz the sab surḳh-ru koi bhi na tha
main kya bata.un ki us ḳhaak se huun vabasta
zamin-e-dil men jahan nam numu koi bhi na tha
ye kaisi basti hai varid kahan hua huun jahan
nazir-e-silsila-e-hav-hu koi bhi na tha
chalo chalen ki yaqin o guman ki duniya men
nafas nafis sabhi dil lahu koi bhi na tha
main ḳhud hi apne barabar khaḌa hua tha ‘tur’
bhare jahan men mera adu koi bhi na tha
Leave a Reply