• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Wo Majnun Ki Ek Sahra Hai Mujh Mein

Main Wo Majnun Ki Ek Sahra Hai Mujh Mein

main vo majnun ki ik sahra hai mujh men

vo sahra bhi bahut simTa hai mujh men

mujhe ḳhud se nikalega vo aḳhir

ba-nam-e-ishq jo aaya hai mujh men

tumhari yaad ko kaise nikalun

ki baaqi kuchh nahin bachta hai mujh men

kisi ke barf se lahje ke hathon

ajab sho.ala sa ik bhaḌka hai mujh men

koi taviz ka paani pila do

koi jadugari karta hai mujh men

kamini ko ḳhabar is ki nahin hai

ki sar se paanv tak dhoka hai mujh men

tumhare ba.ad ye dekha nahin hai

na-jane kaun ab rahta hai mujh men

tumhen meri zarurat bhi paḌegi

purane shahr ka naqsha hai mujh men

tumhari samt hijrat kar chuka hai

kahan ‘is.haq’ ab rahta hai mujh men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nahin Aao Ki Ab Aawaz-E-Pa Se choT Lagti Hai

Jari Thi Abhi Dua Hamari

abdul-ahad-saaz

dur Se Shahr-e-Fikr Suhana Lagta Hai

miTate Jate Hain Jo Bhi Nishan Banate Hain

poet

dil Le Ke Hamara Phirta Hai Ye Kaun Watira Tera Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet