dil ki raghbat hai jab aap hi ki taraf
kis liye aankh uThti kisi ki taraf
kaisi uljhan he bazi-gah-e-shauq men
ham hain in ki taraf vo kisi ki taraf
sirf ashk-o-tabassum men uljhe rahe
ham ne dekha nahin zindagi ki taraf
ham jo ghol-e-bayaban se vaqif nahin
chal diye duur ki raushni ki taraf
dair-o-ka.aba se pyasi jabinen liye
aa ga.e ham tiri bandagi ki taraf
raat Dhalte jab un ka ḳhayal aa gaya
TukTuki bandh ga.i chandni ki taraf
jab na qasd-e-ḳhudi ke dariche khule
ahl-e-dil ho liye be-ḳhudi ki taraf
ham ne dil ki lagi un se ki thi bayan
baat vo le ga.e dil-lagi ki taraf
jada-e-agahi par baḌi bhiiḌ thi
saikḌon muḌ ga.e gumrahi ki taraf
hain mire halqa-e-ilm men bil-yaqin
asman ke payam aadmi ki taraf
un ke jalvon ki janib nazar uTh ga.i
mauj thi baḌh ga.i chandni ki taraf
kaun sa jurm hai kya sitam ho gaya
aankh agar uTh ga.i aap hi ki taraf
jaane vo multafit huun kidhar bazm men
ansuon ki taraf ya hansi ki taraf
us ke pindar-e-ḳhud-agahi par na ja
dekh insan ki bechargi ki taraf
apne mahaul men kyuun andhera karen
der tak dekh kar raushni ki taraf
maut ki raah asan ho ja.egi
pyaar se dekhiye zindagi ki taraf
ham junun-mand bhi itne vaqif to hain
aql ka ruḳh hai varaftagi ki taraf
sha.iri ki kisi manzil-e-dard men
ik daricha hai paighambari ki taraf
jaane ankhon ne ankhon se kya kuchh kaha
zindagi jhuk ga.i zindagi ki taraf
‘danish’ inkar ḳhaliq se hota nahin
dekhta huun main jab aadmi ki taraf
Leave a Reply