ajiib karb-e-musalsal dil-o-nazar men raha
vo raushni ka musafir andhere ghar men raha
vo chandni ka muraqqaa nahin tha jugnu tha
charagh ban ke jala aur shajar shajar men raha
kahavaton ki tarah vo bhi shahr-e-maani tha
bujha bujha sa diya jo kisi khandar men raha
vo jis ko khoj sarabon men thi samundar ki
vo apne dasht-e-dil-o-jan ki rahguzar men raha
vahi to naqsh-e-qadam the jo saare mitte gae
vo dagh-e-sajda tha baaqi jo sang-e-dar men raha
yahi tilism tha ‘zarrin’ jise na tod saki
vajud us ka to taqdir ke bhanvar men raha
Leave a Reply