hijrat ne yuun kiya hai mujhe meri maan se duur
yuun lag raha hai jaise huun main jism-o-jan se duur
ruh-o-badan ka rishta makin-o-makan ka hai
matlab hai maut ka ki makin hai makan se duur
banhen chhuḌa ke jab vo gaya mere paas se
mujh ko laga ki main hua darul-aman se duur
jaao kahin bhi maut tumhen aa.egi zarur
jaana hai ek roz sabhi ko yahan se duur
alfaz bhi hain tiir zaban bhi hai ik kaman
be-soche-samjhe tiir na karna kaman se duur
patjhaḌ men jis shajar se vo guzra to yuun hua
aa.i bahar ho ga.e patte ḳhizan se duur
‘kashif’ bahut hi soch ke ham ne kiya hai ishq
sud-o-ziyan se duur tumhare jahan se duur
Leave a Reply