uḌne ki zid to chhoḌ hava ki havas nahin
ham do parinde umr se ahl-e-qafas nahin
tere badan ke taab se hai darmiyan umas
lekin tujhe juda karun aisi umas nahin
ham la-makan hain kya jo tire dar pe hain khaḌe
aur is qadar azaab men bhi Tas se mas nahin
aisi siyah raat ke nindon se ḳhauf ho
aisa safed ḳhvab ke ankhon pe bas nahin
banhon men dekhta huun tiri main mira maqam
lekin mira maqam tiri dastaras nahin
ai meri sha.iri ke hunar mujh ko yuun na maar
ai astin ke saanp mujhe aur Das nahin
so is hisab se bhi hua saal bhar ka hijr
kahta hai aa.ega vo mira is baras nahin
Leave a Reply