• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qatl Ushshaq Kiya Karte Hain

Qatl Ushshaq Kiya Karte Hain

poet

qatl ushshaq kiya karte hain

but kahan khauf-e-khuda karte hain

sar mira tan se juda karte hain

dard ki aap dava karte hain

atish-e-gham ne magar phunk diya

dil se shole jo utha karte hain

jama-e-surkh tira dekh ke gul

pairahan apna qaba karte hain

khuun rote hain chaman men bulbul

ham gulon se jo hansa karte hain

kham-e-abru-e-sanam ko dekhen

ham ye kaabe men dua karte hain

apne saaqi ko shab-e-furqat men

paani pi pi ke dua karte hain

roz do-char ka khuun karta hai

dast-o-pa surkh raha karte hain

mar gae par hadaf-e-tir hai khaak

ja-ba-ja tode bana karte hain

dahan-e-zakhm se ham qatil ke

tegh ko chuum liya karte hain

shor-e-mahshar se daren kya ashiq

aise hangame hua karte hain

hote hain dil men nihayat nadim

khuun jo be-jurm kiya karte hain

mehndi malne ke bahane qatil

kaf-e-afsos mala karte hain

evaz-e-bada gham-e-saqi men

khun-e-dil apna piya karte hain

paanv tak haath na pahuncha us ki

haath haihat mala karte hain

jo hamen bhuul gaya hai zalim

us ko ham yaad kiya karte hain

na-tavani ne diye par ham ko

jivan-e-par-e-kah uda karte hain

ham bane chand ke haale ‘goya’ hain

gird us mah ke raha karte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sauda-mohammad-rafi

Ai Shaikh-E-Haram Tak Tujhe Aana Jaana

Ek Barq-E-Tapan Kaudde Bijli Si Chamke Jae

bhaTak Rahe Hain Gham-E-Agahi Ke Mare Hue

riyaz-khairabadi

But Apne-Ap Ko Kya Jaane Kya Samajhte Hain

Mere Ham-Rah Mere Ghar Pe Bhi Aafat Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet