dar kisi ka khula nahin lagta
shahr ye ashna nahin lagta
gham hai fikr-e-ma.ash men aisa
aadmi ka pata nahin lagta
dost jab se hue hamare tum
koi dushman bura nahin lagta
yuun to milte hain TuuT kar lekin
rabt vo der-pa nahin lagta
va.ada huron ka ba.ad marne ke
bandagi ka sila nahin lagta
Leave a Reply