main duur ho ke bhi us se kabhi juda na hua
ki us ke ba.ad kisi ka bhi ashna na hua
tamam umr mira mujh se iḳhtilaf raha
gila na kar jo kabhi tera ham-nava na hua
vo jaate jaate dilase bhi de gaya kya kya
ye aur baat ki phir us se rabta na hua
hazar shukr salamat hai mera sar ab bhi
hazar dushman-e-jan se bhi dostana hua
zara si choT pe jhankar guunj uThti hai
ki saaz TuuT gaya phir bhi be-sada na hua
kuchh itna sahl nahin tha zamir ka sauda
bala se main kabhi ahl-e-qaba hua na hua
ajab hai yadon ki bahti hui ye ḳhushk nadi
lahu ko aankh se Tapke hue zamana hua
Leave a Reply