ye aur baat hai kuchh gham jahan jahan na hua
hamare haal ka charcha kahan kahan na hua
hue ho jan-ba-lab ab hoga kya tamanna ka
jahan pe dhundte ho dil agar vahan na hua
mile jo jurm-e-vafa ki saza yahin pe mile
hisab apna kahan hoga jo yahan na hua
nahin hain aansu hi koi zaban mire dil ki
hai aisa ashk bhi ankhon se jo ravan na hua
hua kya janiye dil ko mire shab-e-tarik
hazaron daagh magar ek bhi ayaan na hua
chadhaya daar pe aur kar diya mujhe zinda
ye aur kuchh hua hasrat hai imtihan na hua
suna rahe ho yuun vahshat men hal-e-gham jo ‘azm’
hua vo nala-e-dil dard ka bayan na hua
Leave a Reply