adakari men bhi sau karb ke pahlu nikal aae
ki fankarana rote the magar aansu nikal aae
hamen apni hi janib ab safar aghaz karna hai
so misl-e-nikhat-e-gul ho ke be-qabu nikal aae
yahi be-nam paikar husn ban jaenge farda ka
sukhan mahke agar kuchh ishq ki khushbu nikal aae
isi ummid par ham qatl hote aae hain ab tak
ki kab qatil ke parde men koi dil-ju nikal aae
samajhte the ki mahjuri ki zulmat hi muqaddar hai
magar phir us ki yadon ke bahut jugnu nikal aae
dilon ko jiit lena is qadar asan hi kab tha
magar ab shobade hain aur bahut jaadu nikal aae
safar ki intiha tak ek taaza aas baaqi hai
ki main ye mod katun us taraf se tu nikal aae
Leave a Reply