rakhna ḳham-e-gesu men ya dil ko riha karna
kuchh kah to sahi zalim aḳhir tujhe kya karna
kya tum se ziyada hai duniya men hasin koi
iman se kah dena insaf zara karna
sahni bhi jafa un ki karni bhi vafa un se
un ki bhi ḳhushi karni dil ka bhi kaha karna
bosa bhi mujhe dena honTon men bhi kuchh kahna
jiine ki dava dena marne ki dua karna
tirchhi chitvan ne lakhon hi kiye bismil
ai turk tira navak kya jaane ḳhata karna
be-dad ka ab shikva beja hai ‘nasim’ un se
tha tum ko mohabbat ka iz.har hi kya karna
Leave a Reply