kitna bekar tamanna ka safar hota hai
kal ki ummid pe har aaj basar hota hai
yuun main sahma hua ghabraya hua rahta huun
jaise har vaqt kisi baat ka Dar hota hai
din guzarta hai to lagta hai baḌa kaam hua
raat kaTti hai to ik ma.arka sar hota hai
log kahte hain muqaddar ka navishta jis ko
ham nahin mante har chand magar hota hai
‘saif’ is daur men itna bhi ghanimat samjho
qaid men rauzan-e-divar bhi dar hota hai
Leave a Reply