shikva ho hamen kya tiri bedad-gari ka
dil lutf uThata hai tiri kam-nazari ka
ghunchon ko bhari niind se chaunka to diya hai
ehsan gulistan pe nasim-e-sahari ka
ab dil ke dhaḌakne ka bhi ehsas nahin hai
kuchh aur hi aalam hai miri be-ḳhabari ka
marham na sahi zaḳhm pe nashtar to rakha hai
ehsan na bhulenge tiri charagari ka
kya janiye kya soch ke lab si liye ham ne
sunte the bahut shor tiri dida-vari ka
jaise ki mire haal pe ehsan kiya hai
andaz to dekhe koi bedad-gari ka
ai ‘shauq’ ghazabnak hain barham hain bahut vo
afsana suna hoga miri be-jigari ka
Leave a Reply