
Aziz Lakhnavi
dil aaya is tarah aḳhir fareb-e-saz-o-saman men
ulajh kar jaise rah jaa.e koi ḳhvab-e-pareshan men
ye maana zarre zarre par tumhari mohr azal se hai
magar kya meri gunja.ish nahin shahr-e-ḳhamoshan men
pata us ki nigah-e-vahshat-afza ka lagana hai
nigahen vahshiyon ki dekhta phirta huun zindan men
yahi hai ruuh ka jauhar tum aaoge to niklega
dam-e-aḳhir ruka hai ek aansu chashm giryan men
miri jam.iyat-e-ḳhatir ka saman hashr kya karta
qayamat ho ga.i tartib-e-ajza-e-pareshan men
farogh-e-lala-o-ghul ka tamasha dekhne vaale
ye mere dil ki choTen hain jo ubhri hain gulistan men
‘aziz’ ara.ish-e-gulshan ki koi intiha bhi hai
vo mahv-e-sair-e-gul hain ya gulistan hai gulistan men

Leave a Reply