mera fan meri ghazal tera ishara to nahin
husn tera isi parde men ḳhud-ara to nahin
dam-e-zulmat bhi jo ankhon men hai tasvir-e-sahar
haath kuchh is men bhi ai dost tumhara to nahin
kakul-e-vaqt men suljhav nazar aata hai
aap ne zulf-e-pareshan ko sanvara to nahin
mere ehsas ki vaadi men shafaq si jhalki
mujh ko doshiza-e-fitrat ne pukara to nahin
daman-e-husn se kuchh aur sulag uThti hai
ishq ki aankh men shabnam bhi sharara to nahin
manta huun ki kinare ki tamanna hai mujhe
main ne tufan se kiya phir bhi kinara to nahin
ḳhun-e-gulshan hai pas-e-parda-e-ailan-e-bahar
dekhna ghuncha-e-nauras men sharara to nahin
phir na.e sar se par-o-bal men jumbish si hui
nargis-e-shahid-e-gul ka ye ishara to nahin
tham ga.i saut-e-jaras ruk ga.e rahbar ke qadam
kisi gum-karda-e-manzil ne pukara to nahin
main ne maana tire kuche men qadam uTh na sake
ziist ki dauḌ men lekin kabhi haara to nahin
Leave a Reply