kaam is duniya men aa kar ham ne kya achchha kiya
husn ko be-parda nam-e-ishq ko rusva kiya
husn ne aur ishq ne hangama ik barpa kiya
sham.a ko raushan kiya parvane ko shaida kiya
be-tamanna.i men asuda tha yarab kya kiya
kis liye mere dil-e-divana ko daana kiya
ek jazba tha azal se gosha-e-dil men nihan
ishq ko is husn ke bazar ne rusva kiya
teri qismat ka navishta tha kisi ka kya qusur
tere aage aa gaya a dil jo tha tera kiya
naar ne ki sar-kashi roz-e-azal jab iḳhtiyar
ḳhaak ko baḳhsha sharaf ya.ani bashar paida kiya
dil ko parvana banaya kar diya jaan ko nisar
sham.a-ru ke ishq men ham kya kahen kya kya kiya
jo kiya hukm-e-qaza se ham ne ‘sahir’ tha baja
ham ne apni raa.e se jo kuchh kiya be-ja kiya
Leave a Reply