• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chashma-E-Bad-Mast Ko Phir Shewa-E-dil-dari de

Chashma-E-Bad-Mast Ko Phir Shewa-E-dil-dari de

ali-sardar-jafri

chashma-e-bad-mast ko phir sheva-e-dil-dari de

dil-e-avara ko paigham-e-giraftari de

ishq hai sada-o-masum use apni tarah

jauhar-e-tegh-e-ada khanjar-e-ayyari de

jo dukhe dil hain unhen daulat-e-darman ho ata

dard ke haath men mat kasa-e-nadari de

kitni farsuda hai ye jurm-o-saza ki duniya

sar-kashi dil ko naya zauq-e-gunahgari de

shakh-e-gul kab se hai siine men chhupae hue gul

dekhen kab bad-e-saba hukm-e-chaman-kari de

ai mire shoala-e-dil shoala-e-sher-o-danish

raat akhir hai use jashn-e-sharar-bari de

chaman afsurda hai ai jan-e-chaman ruh-e-bahar

gul ko bhi apne tabassum ki fusun-kari de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tere Jaisa Chehra Dekha Bahut Dinon Ke Baad

Main Talash Mein Kisi Aur Ki Mujhe DhunDhta Koi Aur Hai

poet

Tere Bais Masala Hal Ho Gaya

Ab Ye Aalam Hai Ki Jis Shai Pe Nazar Jati Hai

Kuchh Nahin Likkha Hua Phir Bhi paDha Jata Hai Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet