saut kya shai hai ḳhamushi kya hai
gham kise kahte hain ḳhushi kya hai
aaj huun kal yahan nahin hunga
mujh se janan ye be-ruḳhi kya hai
des pardes ho gaya ab to
ashna kaun ajnabi kya hai
zindagi tere vasl ki ḳhvahish
mil gaya tu to zindagi kya hai
aur gar tu bichhaḌ gaya mujh se
phir miri jaan maut bhi kya hai
ek pal bhi sukun nahin milta
tujh se mil kar ye be-kali kya hai
tarz-e-mausam pe baat chal nikli
varna maazi ka zikr hi kya hai
dosti jo nibha nahin sakte
un se ‘shahzad’ dushmani kya hai
Leave a Reply