gham-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche
mujhe khauf hai ye tohmat tire naam tak na pahunche
main nazar se pi raha tha to ye dil ne bad-dua di
tira haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pahunche
vo nava-e-muzmahil kya na ho jis men dil ki dhadkan
vo sada-e-ahl-e-dil kya jo avaam tak na pahunche
mire tair-e-nafas ko nahin baghban se ranjish
mile ghar men ab-o-dana to ye daam tak na pahunche
nai subh par nazar hai magar aah ye bhi dar hai
ye sahar bhi rafta rafta kahin shaam tak na pahunche
ye ada-e-be-niyazi tujhe bevafa mubarak
magar aisi be-rukhi kya ki salam tak na pahunche
jo naqab-e-rukh utha di to ye qaid bhi laga di
uthe har nigah lekin koi baam tak na pahunche
unhen apne dil ki khabren mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuth jaun to payam tak na pahunche
vahi ik khamosh naghma hai ‘shakil’ jan-e-hasti
jo zaban par na aae jo kalam tak na pahunche
Leave a Reply