ḳhud se kuchh yuun ubhar rahe hain ham
ik bhanvar men utar rahe hain ham
zindagi kaun ji raha hai yahan
maut men jaan bhar rahe hain ham
maut ke baad zindagi hogi
ye samajh kar hi mar rahe hain ham
ab sanvarne ka lutf jaata raha
aa.ine men bikhar rahe hain ham
ishq pahle bhi to hua hai hamen
kya naya hai jo Dar rahe hain ham
vaqt apni jagah pe qaa.em hai
bas musalsal guzar rahe hain ham
Leave a Reply