agar dard-e-mohabbat se na insan ashna hota
na kuchh marne ka gham hota na jiine ka maza hota
bahar-e-gul men divanon ka sahra men para hota
jidhar uThti nazar koson talak jangal hara hota
mai-e-gul-rang luTti yuun dar-e-mai-ḳhana va hota
na piine ki kami hoti na saaqi se gila hota
hazaron jaan dete hain buton ki bevafa.i par
agar un men se koi ba-vafa hota to kya hota
rulaya ahl-e-mahfil ko nigah-e-yas ne meri
qayamat thi jo ik qatra in ankhon se juda hota
ḳhuda ko bhuul kar insan ke dil ka ye aalam hai
ye a.ina agar surat-numa hota to kya hota
agar dam bhar bhi miT jaati ḳhalish ḳhar-e-tamanna ki
dil-e-hasrat-talab ko apni hasti se gila hota
Leave a Reply