kis ke angan se guzar kar ye hava aati hai
siskiyan leti hui bu-e-hina aati hai
kya kami hai ki nigahon se gire jaate ho
dil men ghar karne ki tum ko to ada aati hai
dil ki baten mujhe kahni nahin atin lekin
yahi kya kam hai tiri hamd-o-sana aati hai
kha rahi hai tan-e-bimar ko andar andar
kis masiha ki dukan se ye dava aati hai
kis jagah ruk ke zara der ko dam le koi
kahin saaya hai shajar ka na sar aati hai
ab bahar-gam baḌhi jaati hai taklif-e-safar
ab musafir ko bahut yad-e-ḳhuda aati hai
muddaton sang musibat ki ragaḌ khata hai
tab kahin a.ina-e-dil men jila aati hai
ek hammam men goya ki sabhi nange hain
sharm aati hai na duniya ko haya aati hai
ab to is kar-r-gah-e-shisha-gari men ‘mahir’
har-nafas taaza chhanake ki sada aati hai
Leave a Reply