paḌe hain raah men jo log be-sabab kab se
pukarti hai unhen manzil-e-talab kab se
ye aur baat makinon ko kuchh ḳhabar na hui
laga rahe the muhafiz magar naqab kab se
koi bhi harba-e-tash.hir kargar na hua
tamashbin hi rahi shohrat-e-adab kab se
ukhaḌ ga.i hain tanaben sitam ke ḳhemon ki
ulaT ga.i hai bisat-e-hasab-nasab kab se
na hausla hai dua ka na aah par hai yaqin
ki ham se ruuTh gaya hai hamara rab kab se
samundaron se koi mauj-e-sar-buland uThe
ki sahilon pe taḌapte hain jan-ba-lab kab se
vo ham ne chun diye tanqid ki salibon par
machal rahe the jo kuchh harf zer-e-lab kab se
Leave a Reply