hava ko avara kahne vaalo
kabhi to socho, kabhi to likkho
havaen kyuun apni manzilon se bhatak gai hain
na un ki ankhon men khvab koi
na khvab men intizar koi
ab un ke saare safar men subh-e-yaqin koi
na sham-e-sad-e’tibar koi
na un ki apni zamin koi na asman par koi sitara
na koi mausam na koi khushbu ka istiara
na raushni ki lakir koii, na un ka apna safir koi
jo un ke dukh par kitab likkhe
musafirat ka azaab likhe
hava ko avara kahne vaalo
kabhi to socho!
Leave a Reply