
Ghulam Rabbani Taban
ham ek umr jale sham-e-rahguzar ki tarah
ujala ghairon se kya mangte qamar ki tarah
kahan ke jaib-o-gareban jigar bhi chaak hue
bahar aa.i qayamat ke nama-bar ki tarah
karam kaho ki sitam dil-dahi ka har andaz
utar utar sa gaya dil men neshtar ki tarah
na hadson ki kami hai na shorishon ki kami
chaman men barq bhi palti hai bal-o-par ki tarah
na-jane kyuun yahan viraniyan barasti hain
sabhi ke ghar hain ba-zahir hamare ghar ki tarah
ḳhuda kare ki sada karobar-e-shauq chale
jo be-niyaz ho manzil se is safar ki tarah
bas aur kya kahen rudad-e-zindagi ‘taban’
chaman men ham bhi hain ik shaḳh-e-be-samar ki tarah

Leave a Reply