mere tasavvurat men ab koi dusra nahin
aap ko janta huun main ghair se vasta nahin
dekh tu ai nigah-e-dost kya tujhe dil diya nahin
kaun hai mujh se ashna tu agar ashna nahin
dil ko sukun kar ata jaan ko baḳhsh de qarar
tere karam ki der hai dard ye la-dava nahin
jis se na ho mira guzar rah nahin tiri rahguzar
jis pe na mera sar jhuke vo tira naqsh-e-pa nahin
chashm-e-karam ka shukriya pursish-e-gham se fa.eda
kya miri bebasi ka haal aap par a.ina nahin
ek hasin ahd ki yaad dila ke rah ga.i
un ki nazar ne dil se aaj aur to kuchh kaha nahin
kyuun na karam ke vaste aap se iltija karun
aap bata.en kya mujhe aap ka aasra nahin
dil men hai aks aap ka lab pe hai naam aap ka
aap ka ‘muztar’-e-hazin aap ko bhulta nahin
Leave a Reply