siine men jab dard koi bo jaata hai
ro lete hain ji halka ho jaata hai
tadbiron ke maan dhare rah jaate hain
hona hota hai jo vo ho jaata hai
zaḳhmon men jab dard ki kaskan baḌhti hai
naala lab par aa ke dua ho jaata hai
hijr ki shab gham ke aansu Dhote Dhote
kajal thak kar galon par so jaata hai
sanson men jab raah ki chaap mahakti hai
man angan ḳhushbu ḳhushbu ho jaata hai
Leave a Reply