jism siyahi bana.unga
tera harf saja.unga
tu bahta paani ban ja
main machhli ban ja.unga
kal mausam ki hatheli par
naam tira khudva.unga
apna ghubar uḌa kar main
kuchh tasvir bana.unga
kisi kivaḌ ki aaḌ men ab
tujh ko la ke chhupa.unga
tire badan ke paani se
main suraj chamka.unga
Leave a Reply