tasavvur men jamal-e-ru-e-taban le ke chalta huun
andheri raah men sham-e-farozan le ke chalta huun
shikasta-dil hujum-e-yas-o-hirman le ke chalta huun
huzur-e-husn main ye saz-o-saman le ke chalta huun
unhen shayad yaqin aa jaa.e ab meri mohabbat ka
main un ke ru-ba-ru chak-e-gareban le ke chalta huun
tumhari yaad har ik gaam par mujh ko rulati hai
agar dil men kabhi jiine ka arman le ke chalta huun
Tapakta hai lahu ehsas ke rangin darichon se
main apne dil men jab yad-e-shahidan le ke chalta huun
use shayad miri ma.asumiyat par rahm aa jaa.e
ḳhuda ke samne main fard-e-isyan le ke chalta huun
mujhe bhi apne ehsas-e-vafa ko azmana hai
ba-zo.am-e-ishq afkar-e-pareshan le ke chalta huun
miri ḳhuddar ‘fitrat’ ki ḳhuda hi aabru rakkhe
ḳhizan ke daur men azm-e-baharan le ke chalta huun
Leave a Reply