ya-rab shab-e-visal ye kaisa gajar baja
agle pahar ke saath hi pichhla pahar baja
avaz-e-sur sun ke kaha dil ne qabr men
kis ki barat aai ye baaja kidhar baja
kahte hain asman jo tumhare makan ko ham
kahta hai aftab durust aur qamar baja
jaago nahin ye khvab ka mauqaa musafiro
naqqara tak bhi coach ka vaqt-e-sahar baja
taamir maqbare ki hai lazim bajae-qasr
zar-daron se kaho ki karen sarf-e-zar baja
hain ham to shadman ki hai khat men payam-e-vasl
baghlen khushi se tu bhi to ai nama-bar baja
tujh ko nahin jo un se mohabbat kahan mujhe
taali na ek haath se ai be-khabar baja
nafrat hai ye khushi se ki ashk apne gir pade
ham-rah taaziya ke bhi baaja agar baja
ja-e-qayam manzil-e-hasti na thi ‘amir’
utre the ham sira men ki kos-e-safar baja
Leave a Reply