khurshid-ru ki sohbat jo ab nahin to phir kab
shabnam ki tarah qurbat jo ab nahin to phir kab
zarre ki tarah mujh par ik mahr ki nazar kar
dekhe vo mehr-e-talat jo ab nahin to phir kab
joda hai zaafrani us gul-badan ke bar men
khush ho miri tabiat jo ab nahin to phir kab
aluda-damani ko dhone ko muntazir huun
barish de abr-e-rahmat jo ab nahin to phir kab
is baagh men do-roza hai ishq-e-zindagani
gul ki tarah bashashat jo ab nahin to phir kab
Leave a Reply