hone se mire farq hi paḌta tha bhala kya
main aaj na jaaga to savera na hua kya
sab bhigi ruten niind ke us paar hain shayad
lagti hai zara aankh to aati hai hava kya
ham khoj men jis ki hain pareshan azal se
bimar ki ankhon ne vo dar DhunD liya kya
maqtul ko banhon men liye baiTha rahun kyuun
is jurm se lena hai use aur maza kiya
divar qafas ki ho ki ghar ki mujhe kya farq
tafrih ke saman hon mayassar to saza kya
aisa to kabhi raqs men be-ḳhud na hava main
mai-ḳhane ke mahaul men hota hai nasha kya
ye dhuup ki tezi ye sarabon ki sajavaT
sahra ne junun ko mire pahchan liya kya
Leave a Reply