• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi Yaad Hi Rakht-E-Safar Thahre Koi Rahguzar Anjaani Ho

Koi Yaad Hi Rakht-E-Safar Thahre Koi Rahguzar Anjaani Ho

saleem-kausar

koi yaad hi rakht-e-safar thahre koi rahguzar anjani ho

jab tak miri umr javan rahe aur ye tasvir purani ho

koi naav kahin manjdhar men duube chand se uljhe aur udhar

maujon ki vahi halqa-bandi dariya ki vahi tughyani ho

isi raat aur din ke mele men tira haath chhute mire hathon se

tire saath tiri tanhai ho mire saath miri virani ho

yuun khana-e-dil men ik khushbu abad hai aur lau deti hai

jo bad-e-shimal ke pahre men koi tanha raat ki raani ho

kya dhundte hain kya kho baithe kis ujlat men hain log yahan

sar-e-rah kuchh aise milte hain jaise koi rasm nibhani ho

ham kab tak apne hathon se khud apne liye divar chunen

kabhi tujh se hukm-uduli ho kabhi mujh se na-farmani ho

kuchh yaden aur kitaben hon mira ishq ho aur yarane hon

isi ab-o-hava men rahna ho aur saari umr bitani ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhtar-lakhnvi

dil Mein Tisen Jag Uthti Hain Pahlu Badalte Waqt Bahut

poet

Sikka-E-dagh-E-Junun Milte Jo daulat Mangta

Mohabbat Chahti Hai Jis Ko Afsana Bana Dena

Is Se Pahle Ki Koi Aur haTa De Mujhko

KHak uDate Hue Ye Marka Sar Karna Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet