aisi bhi kya uḌi hai ḳhabar dekh kar mujhe
sab pherne lage hain nazar dekh kar mujhe
kyon chhuT nahin raha hai siyah-rat ka dhuan
kyon munh chhupa rahi hai sahar dekh kar mujhe
donon hi ro paḌe hain sar-e-mausam-e-ḳhizan
main dekh kar shajar ko shajar dekh kar mujhe
manus ho chuka hai miri ahaTon se ghar
khul ja rahe hain aap hi dar dekh kar mujhe
yuun to hazar ranj the shikve gile bhi the
kuchh bhi na kah saka vo magar dekh kar mujhe
Leave a Reply